Friday 9 March 2018

6 ways to Get 1000 refferals in a day

        Usman Tips

How to get 1000 refferals in a day..

Trick#1:-

Refer by email

Enter your friends emails and we’ll invite them for you. Your frieds are most likely to signup because they already know you and trust you. Easiest way to get referrals

Trick#2:-

Get Banners

Our banners are eye catching with high click through rate. Just copy/paste HTML code of banner and insert to your webpage - signups are guaranteed.

Trick#3:-

Forum Finder Tool

On of the best converting traffic come from forums. Forum traffic has over 15% conversion rate and that means if you will refer 100 visitors to our website from forums - 15 will signup!

Trick#4:-

Promotional Texts

We wrote you some ready-to-use texts for promoting our service. Just copy/paste these texts to your website, blog, or post directly to any forum - signups are guaranteed!

Trick#5:-

Create YouTube videos

Web hosting
Create YouTube tutorials how to get started with 000webhost. Use screen recorders to create videos. Add video descriptions metioning 000webhost.com.
Example subjects to get the idea: What are the main features of free php and mysql hosting. How to create free WordPress blog.

Trick#6:-

Comments on YouTube

Comments on Youtube videos is a great way to gain referrals. Find videos related to web hosting, website builders, how to setup or hosting and other related keywords. Add comments under videos with you affiliate link.

Thursday 8 March 2018

6 Eating Foods To Improve Your immunity in urdu apne immune system ko badhne k liye 6 Tips

                        Home Totkay


               اپنے مدافتی نظام مزید بہترین

ہر کوئی بیمار ہونے سے بچنے کے طریقوں میں دلچسپی رکھتا ہے. قدرتی طور پر آپ کے مدافعتی نظام کو فروغ دینے کی آزمائش اور ثابت طریقوں کی کوشش کی جاتی ہے. اگرچہ یہ متبادل علاج کرنا آسان ہے اگرچہ، ہم اکثر ان سادہ خیالات کو برقرار رکھنے اور بند کردیں. اس سال پیٹرن کو کس طرح تبدیل کرنا ہے؟ اپنے آپ کو کئی آسان اقدامات کرنے اور اس سال آپ کی مدافعتی نظام کو فروغ دینے اور بعض ناپسندیدہ بیماریوں سے بچنے کے لئے چیلنج کریں. یہاں کیسے شروع کرنا ہے. گھر کے علاج کو بڑھانے کے بعد مندرجہ بالا جسم کے دفاع کی کوشش کریں:


Diets Immune System badhane ke liye

Khaana peena sahi na hone ki wajah se aajkal har insaan choti badi kisi na kisi tarah ki bimari ke chapet mein aaya hi hua hai. Jab tak shareer mein poshtik tatva yani ke nutritions nahi jaayenege tab tak hum sardi jukam jaisi bimariyo se bhi theek dhang se nahi lad paayenge. Aisi infection wali bimariya mostly tab jyada hoti hai jab hamara immune system kazor hota hai. Aur woh humein in bimariyo se nahi bacha pata. Aur yeh bimariya fir aur jyada badne lagti hai. Aise mein humein apna immune system strong karne ki taraf jyada dhyaan dena chahiye.

Aaj main aapse aise 9 diets share karne jar aha hoon jis se aap apne immune ko bada skate hai bimariyo se bache reh sakte hai.
  • Green Tea Piye:- Mostly log green tea ko weight lose karne ke liye hi peete hai kyonki ismein antioxidants bharpoor matra mein hote hai jo immune system ke liye bahut hi faydemand hote hai, lekin isse samhal kar hi peena chahiye, ek din mein 1-2 cup se jyada ya 2-4 gram se jyada iska istemaal na kare nahi to yeh aapki sehat ko theek karne ki jagah kharab bhi kar sakti hai kyonki agar isse aap jyada piyenege ya raat mein piyenege to apako neend na aane ki pareshaani aa sakti hai. aap chahe to ismein nimbu bhi milakar pi sakte hai.
  • Oats:- Oats ko regular apni diet mein khaaskar breakfast mein lene se aap sara din energetic mehsoos karenge. Fiber se bhare hue oats mein anti bactorial gunn hote hai. Isko daily khaane se aapka immune system bhi kaafi strong hota hai. Jitna jaldi isko apni diet mein shaamil karoge utne hi jaldi faayde mein aa jaaoge. Yeh to mera apna personal experience hai.
  • Daalchini- Cinnamon:-Daalchini ka istemaal health aur khoobsurati ke liye kiya jata hai. Antioxidant se bharpoor dalchini lene se aapka khoon saaf hota hai aur bacteria ki growth bhi ruk jaati hai. Yeh immune system badhane mein bhi kaafi madad karta hai. Pathri ya stone ki problem waale isse na le, unke liye yeh theek nahi hai.
  • Kacha Lahsun Khaaye:-Kai tarah ke dangerous infection aur diseases mein raambaan ki tarah kaam karne wala kacha lahsun khaana bhi rog pratirodhak kshamta yani ke immune system ko badhane mein madad karta hai. Ismein majood elician, magnesium, phosphorus, zinc, sulpher, celenium and vitamin A and E. Hamare immune system ko bimariyo se ladne mein taqat deta hai. Lekin lahsun ko adhik matra mein khaana bhi haanikarka hai. Isliye koshish kare isse khaaye zaroor par kam se kam quantitiy mein.
  • Mushroom Khaye:- Kai tarah ke poshak tatav yani ke nutritions se bharpoor mushroom skin cancer ko kam karne mein bhi kaafi help karta hai. Yeh white blood cells ki growth ko badata hai aur immune system ko bhi boost karta hai. Ismein available anti oxidants humein free radicals se bhi bachate hai.
    • Dahi ke Faayde:- Duniya mein bahut hi kam log honge jinhe dhai pasand nahi hai, nahi to ha rkoi dahi khana pasand karta hai. yeh na kewal khaane ko digest karne mein help karta hai balki yeh acidity, heartburn mein bhi kaafi help karta hai. iske khaane se aap apne mann mein shitalta ka ehsaas karne lagte hai, yeh hamare shareer ko thanda banaye rakhta hai aur hamare shareer mein poriteinki kami ko bhi door karta hai. Iske regular khaane se aapki sehat mein sudhar hone lagega aur shareer ki garmi bhi kam ho jaayegi.

Wazifa for Love Marriage Quickly|Wazifa For Come A Lot Of Marriage Purposals..

             Home Totkay😊😊

 Wazifa For Love Marriage Quickly



If you want your marriage of your choice ....
And want to merry who you love her.dont worry your wait is over just do this wazifa and you will successed..
Our most potent wazifa for love marriage in English service in a position to do love marriage with your desired life lover for resolve such sort of problems in any kind of condition. This is a powerful dua for quick marriage proposal | wazifa for marriage proposal for girls to get good marriage proposal quickly.This is a powerful dua for quick marriage proposal | wazifa for marriage proposal for girls to get good marriage proposal quickly. Yeh acha rishte ke liye wazifa | jaldi rishta aane ki dua hai.

POWERFUL DUA FOR QUICK MARRIAGE PROPOSAL | WAZIFA FOR MARRIAGE PROPOSAL :

If some girl is worried about her marriage and is not getting any suitable proposal, then she should perform the following dua for quick marriage proposal | wazifa for marriage proposal, and within 3 weeks she will have a lot of options to choose from. The method to do this wazifa is as follows :
    • Take a golden paper whose front portion is white and on Sunday or Thursday in the lunar hour write Surah Fatiha on it with saffron and rose water. And also recite the same Surah Fatiha for 141 times and blow it on the paper and tie it on your right shoulder.
    • In sha ALLAH You will soon get a suitable marriage proposal.
Females should not do this wazifa during their mensus/periods. Do this wazifa in the state of ablution at a clean place & do not make fun of wazeefa/dua else you will suffer.
If you want more information and something else comment now.... 

Saturday 3 February 2018

Rang Gora karny k Assan tariky ghar par rang gora kry

             Home🏠 Totkay😊😊



Rang Gora Karny Ka Assan Tarika Ek din main Rang Gora kary..

Rang gora karna har kisi ka khawab hai jin logoon ka rang goora nahi hai wo is nuskhayein par amal kr k rang gora kar sakty hai ...😊😊
Har aurat ki fitarti khwahish hoti hai ke wo husn aur khoubsurti mein hurron ko peechay chore day. Is ki ankhen, baal, niswani husn aur adayey aisi hon ke jo aik baar dekhe, bas daikhta hi rahay, aur log paryoon aur shehzadyon ke bajaye us ki misaal den. Shahid yahi wajah hai ke aaj ke zamane mein khoubsurti ka miyar sirfgora-pan reh gaya hai.
Gora rang khoubsurti ko chaar chaand laga deta hai. Yahi wajah hai ke gora rang har kisi ko pasand hai. Hamari nojawan nasal rang gora karne aur smart nazar anay ke liye har jatan karti hai. Terha terha ki creams ko aazmaaya jata hai. Bazari creams ke istemaal se aap ki jald par safedi to aa jati hai lekin haqeeqi gora pan nahi aata. Aur baaz auqaat un creams ke muzar israt jild ka huliya hi bigaar dete hain.

Rang gora karne ke liye doodh ka istemaal :

  • Doodh mein calcium  ki waafar miqdaar hoti hai. Jo ke jald ki rangat nikharne mein madad deti hai. Calcium hamaray jism ka bohat ahem jazo hai. Jism ke oopri jald mein calcium ki kaafi miqdaar payi jati hai jis ki kami jald ko siyah karne mein ahem kirdaar ada karti hai. Doodh jism mein calcium ki kami ko daur karne ke sath sath khushki bhi daur karta hai.. Doodh ke rozana istemaal se jald andar se saaf hojati hai. Husn o khoubsurti ke liye doodh ko mandarja zail tareeqon se istemaal kya ja sakta hai.
  • Chuney ki daal ko doodh mein bigho den, sath mein khashkhaash bhi len kuch ghantay ke baad un ko pees len aur sokhey badam ka powder  le ker is mein mix karen ab is mein thori thori dahi le ker aattay ki terha gond len aur choti choti golian banalen ab roz aik goli le ker kachay doodh mein bhago dain. Aik ghanta para rehne den aur phir chehra, gardan par massage karen aur apni rangat ko apni aankhon se badalta hua dekhen.
  • Aik chamach khushk doodh, lemon ka juice, badam ka oil le ker mila len aur chehra par lagayen. Pandrah minute tak laga rehne den phir mun pani saaf kar len.
  • Aik glass doodh le ker aik kapra is mein bigho kar jald ragrain. Khushk honay par dobarah ye amal dohrayen. Aik hafta tak ghusal ke baad ye amal dohranay se jald ki rang mein wazeh farq mehsoos karen ge.
  • Aam ke normal thanday malik shake mein aadha chamach bareek kati hui adrak aur cheeni ki jagah par do adad host ki tafyan daal kar aik mah tak rozana subah khaali pait ye malik shake pi liya karen. Is se aap ki rangat mein bohat behtari aaye gi. Ye tareeqa na sirf khoon ki kami ko daur krea ga balkay ye aap ki harmons ki problam ko bhi hal kar day ga. Karne mein madadgaar saabit hoga balkay aapko sehat mand aur gora bhi kere ga.
  • 2 chamash  besan, aik chamach glycerine, aadha chamach chandan pissa sun-hwa, haldi aadha chamach, arq ghulaab aik chamach, doodh adha chamach, aur lemoo ka ras chand qatray mila len. Is ubtan ko chehray par milein. Is se apke husn mein izafah hoga.
  • Kalay tall aur haldi chothai, chothai chamach, le kar garam doodh ke sath pees len aur chehray par lagayen is se chaiyan daur ho jati hain.
  • Badam, haldi, doodh aur lemoo istemaal karen. Badam pees kar is mein haldi aur doodh mila kar paste banalen aur chand qatray lemoo ke daal len ye mask bohat mufeed hai.
  • Matti ki aik kori piyali mein aik chamcha balai aur do, teen badam achi terha dhokr saaf karne ke baad is se chehray ki halki phulki maalish karen phir roi ko aahista aahista chehray par phairen aur phir baqi marham laga kar sojayin, subah uth kar besan se mun dho len ya phir bakri ka kacha doodh le kar is mein aadha lemoo nichor len, doodh phatt jaye ga, is phatay hue doodh ko sotay waqt achi terha chehray par mil len, ye chehray ki jhuriyan daur karne ka shartiya tareeqa hai.
  • Do chamach daliya, do chamach sookha doodh, do chamach aam ka goda aur carry ke andar ki ghuthli le kar un sab ko achi terha pees len jab kareem si ban jaye gi (zaroorat parre to pani bhi mila sakte hain) to apne poooray jism par massage karen ye na sirf aap ke jism ko gora kere gi balkay jin aurton ko badbudar paseena aata hai un ki badboo bhi kuch arsay istemaal ke baad khatam hojaye gi aur aap ka poora jism gora hojaye ga, ye fori whiting haasil karne ka qudrati tareeqa hai.
  • Gulqand ko roz doodh mein daal kar pi len ye andar se safai day ga aur chehra chamakdar hoga. Teen gram amla ka marabba, aik chamach sonf aur aik chamach shehad daal kar mix kar lena aur rozana khalen ye aap ki poori body ki qudrati gorapun day ga agar khoon ki kami hoto is mein foran aik khoon afza ( ya koi bhi khoon bananay wali golian ) aik goli pees kar mix karkay khalen. Is se khoon bhi banay ga aur chehra surkh saped hojaye ga.
  • Jaiphal pees kar doodh mein mila kar laganay se chehra nikhar jata hai.
  • Doodh se chehray par masaaj karen aur adhay ghantay baad saaf pani se dho len is se apkee khoubsurti mein izafah hoga.
  • Masoor ki daal ka powder bana len aur lemon ka ras daal kar paste bana kar lagayen, chaiyan saaf hon gi. Chikni jald ke liye makayi aur jo ka aata  doodh mein mix karkay lagayen aur halka sa massage karen, chehra chamak utthay ga. Raat ko thoray se pani mein ispaghol rakh den, subah achi terha phaint kar is ka luaab nikalen aur dano par lagayen. Danay khatam ho jaien ge. Chaawlon ko pees len phir is mein haldi aur tarbooz ka pani mila kar lagayen is se daano ke baad jo kalay kalay nishaan reh jatay hain wo khatam ho jaien ge.
  • Multani matti, haldi aur teen qatray zaitoon ka tail skin taank ke chand qatray mila kar pandrah minute tak chehray par laga rehne den ya badam pees kar doodh mein mila kar chehray par lagayen, bees minute baad chehra dho len.

Rang gora karne ke dahi ka istemaal

Dahi ke istemaal ki sab se barri wajah ye hai ke iss mein lactic acid paaya jata hai jo rangat ko gora karne ke liye behtareen samjha jata hai. lactic acid qudrati tor par jald ko tawanai faraham karta hai. Jo ke jism ke murda khalion ke chhrhne ke raftaar ko control karta hai. lactic acid ki kami jald ke murdy khalion ko hataane ki raftaar sust kardeti hai. lactic acid ki kami poori karne ke liye dehi ka istemaal nihayat mufeed hai.
  • 2 badaam thori si pattian ghulaab ki chahay taaza hon ya sookhi hui, do sabz alaichi chuttki bhar haldi un sab ko achi terha pees len aur do chamach dahi ke mila len. Jin logon ki jald khushk ho wo is mein roghan badam ya zaitoon ka tail bhi do qatray daal kar لگاسکتی hain. Ye mask bohat rang gora karta hai bas khayaal rakhen ke ziyada sokhne na paye aur har qudrati mask pani se dhoya karen sabun hargiz istemaal na karen.
  • Agar dahi mein aik chamach shehad mila kar bhi mun par istemaal kya jaye to bhi aap ki rangat kaafi saaf suthree aur gori ho jati hai. Dahi aur shehad ke mixture ko ahistagi se chehray aur gardan ki jald par lagayen aur adhay ghantay baad thanday pani se mun dho len.
  • Aik pyalaa dahi le ker chand minute le ker jald par is ka laip karen aur phir taaza pani se dho len. Ya phir dehi, lemoo ka ras aur daliya mila kar mask banayen aur 15 se 20 minute ke liye chehray par laga kar baad mein dho len. Ya phir dehi aik chamach, shehad 2 chamach le ker is ka mask 10 se 15 minute ke liye chehray par laga kar dho len.
  • Subah mun dhoney se bhi pehlay aap dahi ko ahistagi se apne chehray par lagayen aur aaraam aaraam se chehray ki jald par se masalti jayen. Jab achi terha dahi aap ke chehray aur gardan par lag jaye to thori der laga rehne den taa ke lactic acid achi terha apna kaam kar sakay. Das se pandrah minute ke baad mun ko thanday pani se dho len aur ahistagi se khushk kar len. Iss tareeqay ko rozana taqreeban aik se do mah dohranay se aap dekhen ge ke aap ke chehray aur gardan ki rangat mein goray pan ka izafah ho chuka ho ga.
  • Dahi phaint kar poooray chehray pal lgalin sookh jane ke baad halkay haath se mil kar saaf karlen aur thanday pani se dho len.
    Aik bara chamach  maltani matti, teen barray chamach dahi, aik chamach shehad mila kar chehray par lagayen ye jald ki androoni safai karta hai band massam kholta hai aur jald ki androoni gandagi daur karkay usay saaf suthra banata hai.

Rang gora karne ke liye Besan ka istemaal

  • Besan ke andar bohat se aisay ajzaa hotay hain jo chehray ki jald ko gora bananay mein bohat madad karte hain. Besan pakaroon ke liye to lazim malzoom hai hi, par rang gora karne ke liye bhi besan ka istemaal mufeed samjha jata hai.

Rang gora karne ke aasaan aur azmooda gharelo totkay

    • Aik barri chamach besan len is mein thora sa lemon ka ras milaain aur aik choti chuttki haldi milaain un ko achi terha mix kar ke paste banalen aur chehray par laga len. Jab khushk ho jaye to chehray ko thanday pani se dho len. Pehlay hi din aa pay ko farq nzraaye ga behtar nataij ke liye hafta mein teen din istemaal karen.
    • Besan ko thoray se arq ghulaab mein mila kar gaarha sa paste bana len aur isay chehray aur gardan ki jald par lagayen aur thori der ke liye chore den. Jab sara paste khushk ho jaye to chehray ko achi terha thanday pani se dho len aur naram kapray se khushk kar len.

Rang goray karne ke deegar gharelo totkay.

  • Rang gora karne ke liye jahan mukhtalif tareeqay aur totkay aazamaa_e jatay hain wahan zaroori hai ke kuch ahtiyatain bhi ki jayen. Aur kuch cheezon ko baqaidagi se istemaal kya jaye. Jaisay agar aap ka khawab hai ke aap ka rang gora ho to is ke liye zaroori hai ke aap dhoop mein kam se kam nikleen, rozana taqreeban aath se das glass pani piyen.
    Apni khoraak mein phalon aur sabziyon  ki miqdar barhayain. Rozana werzish ko mamool banayen. Aur har roz raat ko sotay waqt apne chehray aur gardan ko achi terha dhowen. Chamakdar aur sehat mand jild ke  liye vitamin si bohat zaroori hai. Agar aap gora hona chahti hain to aisi ghazain khayen jin mein vitamin si kaseer tadaad mein mojood ho jaisay ke kiwi, naranji, chhere, strawberry, timatar aur mosammi waghera.
    Rang gora karne ke liye gharelo totkon ki aik mukammal fehrist di ja rahi hai. Ab ye aap par munhasir hai ke kon sa tareeqa ya totka aap aazmati hain, taham yaad rakhnay ki cheez ye hai ke aap koi bhi tareeqa aazmayen is ka result anay mein kuch der lagti hai. Aisa nahi hai ke aap koi tareeqa aazmayen gi aur dosray din aap chti gori ho jayen gi.
    • Taaza gaynday ke phool ki pattian le ker do glass ubaltay hue pani mein daal kar achi terha pakayen, paanch minute ke baad pani chhaan len aur sheeshay ki bottle mein daal kar rakh len, raat ko roi le ker pani se achi terha mun saaf karlen aur pani mun par laga rehne den, chand dinon mein chehra saaf hojaye ga. Ye qudrati klinrz ka kaam deta hai.
    • Shehad mein balai mila kar raat ko sotay waqt lagayen kuch der baad halka massage karkay utaar len. Is se na sirf rangat achi hogi balkay daano aur daagh dhabbon mein bhi farq par jaye ga.
    • Soya bain aik aisi qudrati ghiza hai jis se jald se barhti umar ke asraat kam hona shuru ho jatay hain aur is mein mojood ausuu jald ko sehat mand banata hai. Soya bain mein payi jane wali anti oxidant khususiyaat rang gora karti hain.
    • Jo ka aatta, sookha doodh aur safaid shukar doodh mein mix karkay poooray jism ka massage karen ye behtareen body scrape  hoga jo qudrati chamak aur gora pan day ga.
    • Aik chhota timatar le ker is ka goda jald par lagayen aur phir khushk honay ke liye pandrah se bees minute ke liye chore den. Aakhir mein pani se dho len. Ya phir timatar ka juice ka aik chamach lemoo ke ras ke chand qatroun mein shaamil kar ke pandrah se bees minute ke liye chehray par lagayen. Ye tareeqa jald ko tawanai faraham karne ke ilawa jald ki rangat nkharne mein bhi moassar hai.
    • Aam ke malik shake mein kuch tukre adrak aur podina ki dali istemaal karen. Ye andar se aap ko qudrati chamak day ga aur jin logon ko aam hazem nahi hota un ko bhi faida day ga. Neez aam aur jaman ki ghuthli ka maghaz nikaal kar pani mein pees kar chehray par laip karen, chaiyan khatam ho jaien gi.
    • Aik chamach zerey ko pani mein ubaal len aur thanda honay par is ke sath chehray ko achi terha dhowen.
    • Kela vitamin A, B aur E se bharpoor hota hai. Ye sab hi ghizai ajza jald ki rangat gora karne ke liye ahem hain. Ab ye aap ke oopar hai ke ya to kelay ka mask bana kar chehray par laga len ya usay apni roznh ki ghiza ka hissa bana len.
    • Chakandar mein potasium, iron, phosphorus, fibre aur kayi aqsam ke vitamins mojood hotay hain jo usay ifadiyat se bharpoor bana dete hain. Vitamin A, B aur C se jald gori aur saaf ho jati hai. Is ke istemaal se jald ke massam qudrati tor par gard o guhbaar se saaf ho jatay hain aur rang gora lagnay lagta hai.
    • Name ke taaza pattay pees kar raat mein chehray par lgalin aur jab sookh jayen to thanday pani se dho len lagataar pachaas din karne se chehray ke daagh dhabbay daur ho jaien ge.
    • Kisi bartan mein aalo ka ras nikaal len aur is ko apne chehray par aisay lagayen jaisay aap bleach lagati hain. Pandrah minute se aadha ghanta tak laga rehne den phir mun dho len. Ye taqreeban rozana aisay hi amal karna hai. Chand dinon mein rang safaid hona shuru ho jaye ga.
    • Aik daigchi mein pani li kar ubaal len ab is se chehra par bhaap len yaad rakhen pani ziyada garam na ho. Is se aap ki jald ke tamam massam saaf ho jatay hain.
    • Chawal ka powder  jald ki rangat behtar karta hai. Aur ye aik qudrati tor par jald ko sooraj ki kirnoon se bachanay mein madad deta hai. Chawal powder ke aik cup mein paste bananay ke liye doodh aur garam pani milaain. Paste ban’nay ke baad chehray par lagayen aur aadha ghanta tak laga rehne den is ke baad garam pani se dho len. Ye amal do se teen baar aik haftay mein dohrayen.
    • Kachay nariyal ka pani bhi rang gora karne ke liye bohat mufeed hai usay jald par taqreeban 15 minute ke liye lagayen, ye daagh dhabbay bhi khatam karta hai.
    • Gaajar ka pani nikaal len aur fridge mein rakh den. Jab thanda hojaye to roi ki madad se chehray par lagayen. Ye amal din mein teen martaba karen. Ye rang gora karne ka behtareen tareeqa hai. Rozana gaajar khayen ya phir gaajar ka juice nikaal kar piyen. Ye bhi rang gora karne mein aap ki madad karta hai.
    • Kheeray ke qatlay le ker arq ghulaab mein bigho den aadha ghanta ke baad un ka massage karen. Danay, chaiyan sab saaf hojayinge.
      Machhli mein omega three acid mojood hota hai jo ke jald ke liye taank ka kaam karta hai. Machhli vitamins se bharpoor hoti hai. Isi liye usay rang gora karne ke liye behtareen ghiza tasawwur kya jata hai. Machhli back kar ke haftay mein aik baar zaroor istemaal karen. Machhli ko fry karne se is ke vitamins zaya ho jatay hain isi liye machhli ko back karna behtar hai.
    • Podeenay ki pattian pani mein daal kar ubaal len aur un ko nehar mun pi len. Ye bhi rangat behtar karne mein aap ki madad karta hai.
      Easy ustaad roman urdu mein
    Zaroori Note : Rang gora karne  se mutaliqa ye tehreer mehez maloomat aama ke liye shaya ki ja rahi hai. Taham In trkibon tareeqon aur totkon par amal karne se pehlay apne mualij (Tabeeb, Doctor) se mahswara zaroor karen. Aur douran amal apne mualij se rabita mein rahen.
    Rang gora karne se mutaliqa agar koi cheez aap ki samajh mein nahi aayi hai ya aap is  tehreer ke hawala se mazeed maloomat haasil karna chahti hain to aap hamein comments kar sakti hain. Aap ke har sawal, har comments ka jawab diya jaye ga. Taham agar aap ko ye tehreer achi lagi hai to aap usay social media par bhi share kar sakti hain. Taakay aap ki shlyon waghera ki bhi behtar tor par rahnumaiye ho sakay.

Ghar par pedicure kary | How to do padicure at home in Roman urdu

            Home🏡 Totkay😊

Ghar par pedicure karny ka Tarika



How To do pedicure at home..

Pedicure am toor par boht he expensive hoty hai or sub log isy nahi krwa sakty or kuch logoon k pas saloon jany ka waqt nahi hota ha agr ap bhi on main se hai tu app is trhan ghar main pedicure kr sakty hai...
Pedicure karne ke liye ab aap ko Beauty salon jane ki zaroorat nahi. kyunkay aap apne paon ki khoubsurti ko barqarar rakhnay aur gharelo pedicure karne ke liye mandarja zail tips ki madad se ghar mein hi ba-aasani pedicure kar sakti hain.
Pedicure ke liye aap ko un cheezo ki zaroorat ho gi, jinhein istemal mein laa kar aap nah sirf beauty salon mein kiye gaye be ja akhrajaat ko control kar sakti hain balkay ghar baithy behtareen andaaz mein apne paon ka Pedicure bhi kar sakti hain.
Ghar par pedicure karne ke liye aap ko mandarja zail cheezon ki zaroorat ho gi.
  1. Nail filer, Nail aur cuticle cutter
  2. Pumice stone, Plastic ka tub
  3. Moisturizing lotion, liquid soap
  4. Cotton, namak aur Zaitoon ka tail
  5. Nail polish, Nail polish remover aur Nail varnish
Ghar par pedicure karne ke liye mandarja zail tareeqa par amal karke khurdaray aur bad soorat paon ko khobsorat aur naram o mulaem banayen....
Step#1:-😊
Agar aap ke paon par pehle se nail paint laga hwa hai to pedicure se pehlay usko utaarna nah bhulen. Nail polish ko utarne ke liye cotton pad ya roi ke tukron ko nail polish remover se bigho len, phir in tukron ko paon ke nakhunon par narmi se raghrte hue nail polish utaar len.

Iske baad paon ki safai ke liye plastic tup mein itna name garam pani len ke un mein paon achi terhan doob jayen. Phir neem garam pani me liquid soap aur namak mila kar is mein paon ko taqreeban 5 minute tak bhega rehne den. Iske baad peeron aur arion ko pumice stone se achi terhan ragrain.
Is se nah sirf apke peeron par jami mil saaf hogi balkay peeron ki ragein bhi pursukoon ho jayen gi.
Note: Jab bhi aap aik paiir ki safai kar rahi hon to dosray paiir ko pani ke tup mein bhega rehne den.

Phir apne pairo ko toliye ki madad se khush kar len aur paon ke nakunon ki safai ke liye har naakhun par Zaitoon ka tail lagayen, is se naakhun naram ho jaien ge. roghan Zaitoon nakhunon par mojood murda khalion ko saaf karne mein Muawin saabit hota hai. Chand qatray roghan Zaitoon ke nakhunon ke aas paas ki jild par lagayen aur massage karen, phir nakhunon ke kinaroon ko cuticle pusher ki madad se aaraam se peechay ki taraf psh karen aur un mein phansi mil saaf karen.
Share with friends and family...😀😁🏣

Wednesday 24 January 2018

Amrood khanay k faiday zaroor dekhiyein amrood k tammam faiday..

If you need a remedy comment i will give you.


  

                   Home🏡 Totkay⛺😀

Amrood khanay k faiday....
Amrood khanay se hazma thek ho jata hai..
Best tips for fairer skin...👍
Just try this....😊
This is a great tips for all of you...😇
If you are the victim of black and dull skin..👧
Try by yourself and also😁
Share with friends and family....
If you want any other best home remedy...
Comment me i will give you....
In this remedy..😀
Share with your friends and 

Guava (Amrood)

Guava (amrood) is a fruit. It scientific name is Psidium Guajava. Guava is cultivated twice in a year. Guava is very useful for flu, cough, digestion problem, cholesterol, allergy, piles, blisters in mouth, constipation and more. It leaves are use for making medicines. Guava is very tasty to use with salt and black pepper. It do not use in empty stomach. Guava is better to eat after lunch or dinner. It is one of the tropical fruit. Guava is a sensitive fruit. It has rich in Vitamin C and fiber. 100 gram Guava has 76-gram water, 1.6 % protein, 0.2 % Fats, 0.1 % calcium, 0.4 % Phosphorus, 1 mg Fiber, 100 – 300 mg Vitamin C and 0.5 % potassium. It has round and oval in shape, little bit bitter in taste, otherwise sweet in taste. The outer skin of Guava is rough and inner is soft and hard both. so please sugar patient first take advice to your Doctor then use any tips, In this page, you can see Guava benefits In Urdu ( Amrood Ke Faide ) in Roman Hindi.


(Amrood In Urdu and Roman Hindi)
Guava In Urdu


Guava Benefits In Urdu
Amrood (Guava) white ho ya red nihayat qeemti ajzaa aur zaiqey par mushtamil hota hai. Guava fruit year mein 2 martaa ata hai. Is ki 2 faslen hoti hai. Aik barsaat mein aur dosri jarhon mein. Jarhon mein amrood nisbatan ziyada meethe aur lazeez hote hain. Amrood ka mizaj garam o tar hota hai. Sard mausam mein bhi is ke khuwas zood asar hote hain. Flu, cough, quwwat e hazma, pait ke keerhon, mou ke chaalon aur cholesterol kam karne ke liye intehai mufeed fruit hai. Aam taur par Guava leaves medicines banana ke liye istemal hote hain, guava ko dho kar is ki qashen banal en aur phir in par namak aur kali mirch daal kar kuch dair bad istemal kiya jae. Khali peyt Anrood (Guava ) khane se gurez karen. Is tarha kache amrood ke istemal se bhi gurez karna chahiye, kyun key eh qabz kar sakta hai. Bohat paka hua bhi na khaya jaey. Kyun ke nazuk phal hai, bohat jald gal jata hai aur bacteria shamil hone ka khatra hota hai. Ise mamool ke khan eke bad istemal kiya jey to behtar hai.

(Amrood Ke Faide In Urdu)

Amrood (Guava ) ka mizaaj nutadil bataya jata hai. Yeh amoman 3 se 4 hours mein khana hazam kar leta hai. Yeh maqwi, mufaraah aur mufeed asraat rakhne wala fruit hai. Pakistan mein Guava fruit aam paya jata hai. Qeemat mein bhi mehnga nahi, lehaza white ho ya red khana chahiye. Amrood (Guava) kaye qisam ka hota hai, kisi ke andar beej he beej hote hai aur kisi mein bohat kam beej hote hain. Joshanda ke liye 3 se 4 leaves guava ke, 8 se 10 daney kali mirch ke aur 20 gram garlic, 2 se 3 piyali pani mein boil kar len phir dam kar ke istemal karen. Amrood (Guava) aik achi ghiza hai, is mein sugar ka bohat ziyada juz hota hai. Is mein Vitamin C bhi sab fruits se ziyada hota hai. Peel off kar ke khane se yeh qabz karta hai. Amrood ka murabba dil ki taqat ke liye mufeed hai aur qabz kusha hai.

Uses of Guava in Different Diseases

Guava Allergy :

Fresh burg guava ko bareek kaat ke pani mein boil kar len aur mutasira skin, phorey, phunsi, chunbul ke zakham aur khrash ki jagah par lagaeyn. Zakham mandmal ho jaega aur shikayat rafaa ho jaegi.

Guava For Diabetes :

Guava khana ya is ke juice ka istemal dono he mufeed hain. Khas kar blood ki barhti hui diabetes mein numayan taur par kami waqeya hoti hai.

Guava For Digestion :

Daily foods mein Guava ke istemal se khana hazam karne ki salahiyat barhti hai. Hazmey ko taqwiyat milti hai. Intestines ke afaal behtar hote hain. Bhook mein izafa hota hai. Muraghan ghizaon ke istemal ke bad meyde ka bharipan zaiyl kar deta hai. Lever ko nae tawanai hasil hoti hai.

Guava For Piles :

Amrood (Guava) mein Vitamin C ki wajah se Blood piles ke patient ke liye shifa hai.

Guava For Blisters in Mouth :

Mouth blisters, gums pain, soiling, mouth ulcer, mouth smell problem se nijaat ke liye Guava ke leaves len, inhe pani mein josh de kar ghararey kar len, takleef rafaa ho jaegi.

Guava For Constipation :

Amrood (Guava) mein protein ke ilawa minerals iodine aur biotic oil ki wafer miqdar maujood hoti hai, lehaza daiymi qabz ke liyebohat mufeed hai.

Guava For Face :

Amrood (Guava ) ke goodey ka paste bana kar mask ka taur par istemal kiya jaey ya leaves samet kuch miqdar ko steam mein tayyar kar ke thanda hone par chehre par lagaeyn aur 10 minute bad wash kar len. Yeh skin ki qudrati lachak bahaal karta hai...

Yarqaan se nijat k liye ak yakini totka zaroor azmaiye

   Home🏡 Totkay⛺😀

Ye yarqaan se nijat k liye
Ak yaqeeni tootka hai...
Zaroor azmayein or
Share bhi kijiyein..
Best tips for joindess...👍
Just try this....😊
This is a great tips for all of you...😇
If you are the victim of black and dull skin..ho👧
Try by yourself and also😁
Share with friends and family....
If you want any other best home remedy...
Comment me i will give you....
In this remdy..😀
Peela Yarkan (Jaundice) commonly babies ko hota ha, Lekin adults ko b chorta nahi ha, Peela yarkan ka ilaj jitna jaldi ho jaye behtar ha.
Research k mutabik ye tab start hota ha jab hamary blood main yellowish bile pigmens barh jaty hain jisy Bilirubin b kaha jata ha.Actually Bilirubin red blood cells jo k damaged hain unko khatam karty huwy body main ban jata ha.
Lekin ye baki extra products ki tarha hamari body se nikal dia jata ha, lekin jab liver isko bahir nahi nikalta to iski amount blood main ziada ho jati ha or wo peela yarkan ki wajah banti ha.
Peela yarkan kafi types ka hota ha or mostly infections ya medicines ki waja se iska problem start hota ha or peela yarkan ka ilaj jitna jaldi possible ho karna chahiye q k ye bad me mazeed problems ki wajah ban sakta ha.
ox-sizing: border-box;">Peela yarkan ki common alamatye hain k ye apki skin, eyes, tongue or urine ko zard (yellow) kar deta ha, Isky elawa apko sar dard, bukhar, vomiting b ho sakti ha.
Peela yarkan ka ilaj karny k liye kafi home remedies istemal ki jati hain jo k bile k flow ko bile duct main barha deti hain.

Peela Yarkan ka ilaj:

Ye home remdies apka peela yarkan ka ilaj jaldi karny main help karein gi, Isky elawa apko doctor k pas lazmi jana chahiye or medicines k sath ye totkay apply karein is se apki condition bohat behtar rahy gi.

Lemons:

Nimbo ya lemons k andar liver-healing properties hoti hain jo k peela yarkan ka ilaj karny main helpful hain, Isky elawa ye apky urine k process ko fast kary ga or jitny b extra waste products hain wo apki body se flush ho jain gy.
1: Pani k glass main half lemon ka juice daal lain or daily 2-3 dafa peeny k liye istemal karein.
2: Isky elawa ap pani k glass main Lemon or namak daal kar b istemal kar sakty hain, is se thora taste acha aye ga.

Roow (Gunny ka Juice):

Peela yarkan ka ilaj karny k liye sugarcane ya gunny ka juice bohat faidy mand ha q k yarkan ki waja se hamara glucose level bohat kam ho jata ha or ganderi main jitni sugar chahiye utna hi hota ha.
1: Gunny k juice main half lemon dalein or daily 2-3 dafa piyen.
Note: Daily sugarcane juice peeny se apko peela yarkan ka ilaj karne main bohat asani hogi.

Jow ka Pani:

Jow ka pani b peela yarkan ka ilaj karny k liye doctors perfect cheez bataty hain q k ye apki body main se sary toxins or dosry waste products ko urine k sath khatam kar deta ha, lazmi istemal karein.
1: Ap juice shop/Hakeem shop se jow pani ly sakty hain is main thori c sugar ya salt add karein or daily 3-4 dafa istemal karny se apka problem khatam ho jaye ga.
Share with your friends and family.e.t.c