Saturday 3 February 2018

Ghar par pedicure kary | How to do padicure at home in Roman urdu

            Home🏑 Totkay😊

Ghar par pedicure karny ka Tarika



How To do pedicure at home..

Pedicure am toor par boht he expensive hoty hai or sub log isy nahi krwa sakty or kuch logoon k pas saloon jany ka waqt nahi hota ha agr ap bhi on main se hai tu app is trhan ghar main pedicure kr sakty hai...
Pedicure karne ke liye ab aap ko Beauty salon jane ki zaroorat nahi. kyunkay aap apne paon ki khoubsurti ko barqarar rakhnay aur gharelo pedicure karne ke liye mandarja zail tips ki madad se ghar mein hi ba-aasani pedicure kar sakti hain.
Pedicure ke liye aap ko un cheezo ki zaroorat ho gi, jinhein istemal mein laa kar aap nah sirf beauty salon mein kiye gaye be ja akhrajaat ko control kar sakti hain balkay ghar baithy behtareen andaaz mein apne paon ka Pedicure bhi kar sakti hain.
Ghar par pedicure karne ke liye aap ko mandarja zail cheezon ki zaroorat ho gi.
  1. Nail filer, Nail aur cuticle cutter
  2. Pumice stone, Plastic ka tub
  3. Moisturizing lotion, liquid soap
  4. Cotton, namak aur Zaitoon ka tail
  5. Nail polish, Nail polish remover aur Nail varnish
Ghar par pedicure karne ke liye mandarja zail tareeqa par amal karke khurdaray aur bad soorat paon ko khobsorat aur naram o mulaem banayen....
Step#1:-😊
Agar aap ke paon par pehle se nail paint laga hwa hai to pedicure se pehlay usko utaarna nah bhulen. Nail polish ko utarne ke liye cotton pad ya roi ke tukron ko nail polish remover se bigho len, phir in tukron ko paon ke nakhunon par narmi se raghrte hue nail polish utaar len.

Iske baad paon ki safai ke liye plastic tup mein itna name garam pani len ke un mein paon achi terhan doob jayen. Phir neem garam pani me liquid soap aur namak mila kar is mein paon ko taqreeban 5 minute tak bhega rehne den. Iske baad peeron aur arion ko pumice stone se achi terhan ragrain.
Is se nah sirf apke peeron par jami mil saaf hogi balkay peeron ki ragein bhi pursukoon ho jayen gi.
Note: Jab bhi aap aik paiir ki safai kar rahi hon to dosray paiir ko pani ke tup mein bhega rehne den.

Phir apne pairo ko toliye ki madad se khush kar len aur paon ke nakunon ki safai ke liye har naakhun par Zaitoon ka tail lagayen, is se naakhun naram ho jaien ge. roghan Zaitoon nakhunon par mojood murda khalion ko saaf karne mein Muawin saabit hota hai. Chand qatray roghan Zaitoon ke nakhunon ke aas paas ki jild par lagayen aur massage karen, phir nakhunon ke kinaroon ko cuticle pusher ki madad se aaraam se peechay ki taraf psh karen aur un mein phansi mil saaf karen.
Share with friends and family...πŸ˜€πŸ˜πŸ£

No comments:

Post a Comment