Thursday 8 March 2018

6 Eating Foods To Improve Your immunity in urdu apne immune system ko badhne k liye 6 Tips

                        Home Totkay


               اپنے مدافتی نظام مزید بہترین

ہر کوئی بیمار ہونے سے بچنے کے طریقوں میں دلچسپی رکھتا ہے. قدرتی طور پر آپ کے مدافعتی نظام کو فروغ دینے کی آزمائش اور ثابت طریقوں کی کوشش کی جاتی ہے. اگرچہ یہ متبادل علاج کرنا آسان ہے اگرچہ، ہم اکثر ان سادہ خیالات کو برقرار رکھنے اور بند کردیں. اس سال پیٹرن کو کس طرح تبدیل کرنا ہے؟ اپنے آپ کو کئی آسان اقدامات کرنے اور اس سال آپ کی مدافعتی نظام کو فروغ دینے اور بعض ناپسندیدہ بیماریوں سے بچنے کے لئے چیلنج کریں. یہاں کیسے شروع کرنا ہے. گھر کے علاج کو بڑھانے کے بعد مندرجہ بالا جسم کے دفاع کی کوشش کریں:


Diets Immune System badhane ke liye

Khaana peena sahi na hone ki wajah se aajkal har insaan choti badi kisi na kisi tarah ki bimari ke chapet mein aaya hi hua hai. Jab tak shareer mein poshtik tatva yani ke nutritions nahi jaayenege tab tak hum sardi jukam jaisi bimariyo se bhi theek dhang se nahi lad paayenge. Aisi infection wali bimariya mostly tab jyada hoti hai jab hamara immune system kazor hota hai. Aur woh humein in bimariyo se nahi bacha pata. Aur yeh bimariya fir aur jyada badne lagti hai. Aise mein humein apna immune system strong karne ki taraf jyada dhyaan dena chahiye.

Aaj main aapse aise 9 diets share karne jar aha hoon jis se aap apne immune ko bada skate hai bimariyo se bache reh sakte hai.
  • Green Tea Piye:- Mostly log green tea ko weight lose karne ke liye hi peete hai kyonki ismein antioxidants bharpoor matra mein hote hai jo immune system ke liye bahut hi faydemand hote hai, lekin isse samhal kar hi peena chahiye, ek din mein 1-2 cup se jyada ya 2-4 gram se jyada iska istemaal na kare nahi to yeh aapki sehat ko theek karne ki jagah kharab bhi kar sakti hai kyonki agar isse aap jyada piyenege ya raat mein piyenege to apako neend na aane ki pareshaani aa sakti hai. aap chahe to ismein nimbu bhi milakar pi sakte hai.
  • Oats:- Oats ko regular apni diet mein khaaskar breakfast mein lene se aap sara din energetic mehsoos karenge. Fiber se bhare hue oats mein anti bactorial gunn hote hai. Isko daily khaane se aapka immune system bhi kaafi strong hota hai. Jitna jaldi isko apni diet mein shaamil karoge utne hi jaldi faayde mein aa jaaoge. Yeh to mera apna personal experience hai.
  • Daalchini- Cinnamon:-Daalchini ka istemaal health aur khoobsurati ke liye kiya jata hai. Antioxidant se bharpoor dalchini lene se aapka khoon saaf hota hai aur bacteria ki growth bhi ruk jaati hai. Yeh immune system badhane mein bhi kaafi madad karta hai. Pathri ya stone ki problem waale isse na le, unke liye yeh theek nahi hai.
  • Kacha Lahsun Khaaye:-Kai tarah ke dangerous infection aur diseases mein raambaan ki tarah kaam karne wala kacha lahsun khaana bhi rog pratirodhak kshamta yani ke immune system ko badhane mein madad karta hai. Ismein majood elician, magnesium, phosphorus, zinc, sulpher, celenium and vitamin A and E. Hamare immune system ko bimariyo se ladne mein taqat deta hai. Lekin lahsun ko adhik matra mein khaana bhi haanikarka hai. Isliye koshish kare isse khaaye zaroor par kam se kam quantitiy mein.
  • Mushroom Khaye:- Kai tarah ke poshak tatav yani ke nutritions se bharpoor mushroom skin cancer ko kam karne mein bhi kaafi help karta hai. Yeh white blood cells ki growth ko badata hai aur immune system ko bhi boost karta hai. Ismein available anti oxidants humein free radicals se bhi bachate hai.
    • Dahi ke Faayde:- Duniya mein bahut hi kam log honge jinhe dhai pasand nahi hai, nahi to ha rkoi dahi khana pasand karta hai. yeh na kewal khaane ko digest karne mein help karta hai balki yeh acidity, heartburn mein bhi kaafi help karta hai. iske khaane se aap apne mann mein shitalta ka ehsaas karne lagte hai, yeh hamare shareer ko thanda banaye rakhta hai aur hamare shareer mein poriteinki kami ko bhi door karta hai. Iske regular khaane se aapki sehat mein sudhar hone lagega aur shareer ki garmi bhi kam ho jaayegi.

1 comment: